Gaye dinon ka suragh lay kar, kidhar say aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhey to hairaan kar gaya woh
Bas aik moti see chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar
Sitara-e-sham ban kay aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr gaya woh
Khushi ki rut ho keh rang ka mausam, nazar ussay dhoondti hai har damm
Woh boo-e-gul tha keh naghma-e-jaan, meray to dil meiN utar gaya woh
Nah abb woh yaadoN ka charhta darya, na abb fursatoN ki udaas barkha
Younhi zara c kasak hai dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya woh
Kuch abb sanbhalnay lagi hai jaaN bhi, Badal chala rang-e-aasmaN bhi
Jo raat bhaari thi tal gayee hai, jo din karra tha, guzar gaya woh
wo rat ka be'nawa musafir wo tera sha'er wo tera Nasir
teri gali tak to hum ne dekha phr na'janay kidhr gya wo.
By: Nasir Kazmi
Designed By: [dil.e.wehshi]

Comments
Post a Comment