Khoob hamara sath nibhaya-Ibne Insha

Khoob hamara sath nibhaya, beech bhanwar ke chora haath
humko dabo kar khud sahil par ja nikley ho, achi baat

shaam se lekar poo phatney tuk kitni rutein badalti hain
aas ki kalyan yaas ki patjhar sobh ke ashkon ki barsaat

apna kaam to samjhana hai ay dil rishtey jorr keh torr
hijr ki raatein lakhon kroron, wisal ke lamhey paanch keh saat

hum se hamara ishq na cheeno, husn ki humko bheek na do
tum logon ke door thikaaney, hum logon ki kya aoqaat

rog tumara aor hai Insha, beedon se kion chehl karo
dard ke saodey karne waale, dard se pa saktey hain nijaat?
By: Ibne Insha

Comments

  1. rog tumara aor hai Insha, beedon se kion chehl karo
    dard ke saodey karne waale, dard se pa saktey hain nijaat?
    insha the best

    ReplyDelete
  2. Beautiful ghazal penned by Ibne Insha & sung by melodious voice Shehryar zaidi.Amazing!

    ReplyDelete

Post a Comment